Kaash iss dil ka bhi zubaan hota ,
Toh aap chaahat nahin , mohabbaat hote .
Kaash ye dil bhi gumnam hota , 
Toh iss ki talaash mein aap qubool-e-ibadat hote .
Kaash aur kaash k ye mohabbat nahin chaahat hota .
Toh aap unke nahin hamare bahoon mein hote .

Kal bhi tha ,
Aaj bhi hain ,
Aur kayamat tak hain ,
Ragon se ruhh ki akhri sarhaad tak hain .
Tu hain meri sirf meri , 
Ishq tumse jo hain , 
Deewangi ki haadh tak hain .
Tu hain iltizaa ,
Tu hi hain aarzoo ,
Deewangi ki waastan hain , 
Tu meri hain sirf aur sirf meri hain .

Tanhaai khauff nahin hoti ,
Agar usse ubharne wala mohabbaat hota ,
Hum to itne hi tanhaan thee ,
Ki shayad mautt bhi kam khauffnak hota .
Khauffdaar rahoon mein chalte chalte ,
Kuch iss tarhah hi bhatke ki ,
Tawaifon ki duniya bhi haseen lagne lagi ;
Akhir unhe tanhaai bhulane ki sahaare kam nahin parte .
Lekin yaha toh hum tanhaai ko hi sahara bana baithe .

-17/02/2018

Comments

Popular posts from this blog